Roman script

ye badnassib baccha

takdir ka hai maara

itne bade jahan me

ye ek besahara

ye badnassib baccha

takdir ka hai maara

itne bade jahan me

ye ek besahara

ye badnassib baccha

takdir ka hai maara

bachpan se iske sar pe

na baap ka hai saaya

na maa ne loriya di

na dudh hi pilaya

pi pi ke apne aansu

karta hai ye gujara

ye badnasib baccha

takdir ka hai mara

mujhko janam diya kyu

beraham jindagi ne

kude ke dher me kyu

fenka mujhe kisi ne

daaman pakad ke ek din

puchhega ye humara

ye badnasib baccha

takdir ka hai mara

kuch der ho na jaaye

andher ho na jaaye

ungli pakad le koi

kisi ki ye kho na jaaye

ye bhul hai kisi ki

ye phul hai humara

ye badnassib baccha

takdir ka hai maara

itne bade jahan me

ye ek besahara

ye badnassib baccha

takdir ka hai maara

Explore this song