Roman script

ye wo jagah hai

jahaan ghar lutaaye jaate hai

ye wo jagah hai

jahaan ghar lutaaye jaate hai

film studio 

jawaan dil yahaan

ullu banaaye jaate hain

jawaan dil yahaan

ullu banaaye jaate hain

haan banaaye jaate hain

ye shehri duniya hai

ilaaz ishq ka hota hai bhaap bijli se

ilaaz ishq ka hota hai bhaap bijli se

cigaar peeke yahaan

dil jalaaye jaate hain

cigaar peeke yahaan

dil jalaaye jaate hain

karam kareem ka hai jo safed powder se

karam kareem ka hai jo safed powder se

siyaah-rukhon ke

andhere mitaaye jaate hain

siyaah-rukhon ke

andhere mitaaye jaate hain

banaayi filmi khudaaon ne saikdo laila

banaayi filmi khudaaon ne saikdo laila

jo collego mein

ab majnu banaaye jaate hai

jo collego mein

ab majnu banaaye jaate hai

jo kaam maange hain bekaar

car waalon se

jo kaam maange hain bekaar

car waalon se

bajaa ke bhonpu

bajaa ke bhonpu

bechaare daraaye jaate hain

bajaa ke bhonpu

bechaare daraaye jaate hain

Explore this song