Roman script

ye udas aasman rat ye dhua dhua

ho mere chand tum kaha

thak gayi meri juba aa gayi labo pe ja

ho mere chand tum kaha

thar thara raha hai pyar ka jiya

to gawar hai bujhi bujhi fiza

haye is judai ke andhere me

dubta hi ja raha hai dil mera

kah raha hai ye sama hasrato ki dasta

ho mere chand tum kaha

bekashi ka kab talak karu gila

dastan ka na tut jaye silsila

yu tumhari rah dekhte hue

sau na jaye dhadkano ka kafila

kuch to apna do nisha

kho gayi hu mai yaha

ho mere chand tum kaha

rat ka bhi rang ab badal gaya

intzar aasuo me dhal gaya

aaj roz ki tarah na aaye tum

aaj wado pe hi waqt tal gaya

rat bhar ki mehman sama ban chuki dhua

ho mere chand tum kaha

Explore this song