Roman script

ye saye hai, ye duniya hai, parchaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
bhari bhid me khali 
bhari bhid me khali, tanhaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
yaha koi sahil sahara nahi hai, kahi dubne ko kinara nahi hai 
yaha koi sahil sahara nahi hai, yaha sari raunak ye rusavaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai parchaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
kai chand uthakar jalaye bujhae, bahut hamane chaha zara nind aye 
kai chand uthakar jalaye bujhae, yaha raat hoti hai bezariyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai parchaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
yaha sare chehre hai mange hue se, nigaho me ansu bhi take hue se 
yaha sare chehre hai mange hue se, badi nichi rahe hai unchaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai parchaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
bhari bhid me khali 
bhari bhid me khali, tanhaiyo ki 
ye saye hai, ye duniya hai 
ye saye hai, ye duniya hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Mithun Chakraborty, Zarina Wahab