Roman script

la la la la la, la la la la la, aa haa haa

ye rangeen mehfil gulaabi-gulaabi

mere dil kaa aalam sharaabi-sharaabi

ye rangeen mehfil

nazar se nazar ki mulaaqat dekhi

adaaon ke teeron ki barsat dekhi

ho bahut dekhe hamne dil dene wale

magar tujhmein zalim nayi baat dekhi

dekh kar umr bhar ki khushi mil gayi

ye rangeen mehfil gulaabi-gulaabi

mere dil kaa aalam sharaabi-sharaabi

ye rangeen mehfil

kisi se kabhi pyaar kar ke to dekho

kisi husn waale pe mar ke to dekho

ho toofaan ke daaman mein laakhon kinaare

ye sholon kaa dariyaa guzar ke to dekho

ik nayi bekhudi ik nayi raushni mil gayi

ye rangeen mehfil gulaabi-gulaabi

mere dil kaa aalam sharaabi-sharaabi

ye rangeen mehfil

Explore this song