Roman script

ye raat badi mushkil hai anjaan abhi tera dil hai 

soorat pe na jaa baaton mein na aa

har cheez yahaan kaatil hai

ye raah badi mushkil hai anjaan abhi tera dil hai

kaaghaz ke phool mein khushboo

kyun dhundh raha nadaan tu

yahaan rang ka jaal bichhaye

baithe hain lutere harsu

yahaan dil na lagaa daaman ko bachha

ye daghaabaaz mahfil hai 

ye raat badi mushkil hai anjaan abhi tera dil hai

lahraati chamakti rahti paani ka hai dhokha deti

ye sholon ki hai kheti masoom nazar kya jaane

ye sholon ki hai kheti mat pyaas bujha

dhokhe mein naa aa ye badi tedhi manzil hai

ye raat badi mushkil hai anjaan abhi tera dil hai

soorat pe na jaa baaton mein na aa

har cheez yahaan kaatil hai

ye raah badi mushkil hai anjaan abhi tera dil hai

Explore this song