Roman script

ye pyar kya hai 
ye ek dhanak hai 
sato rango ki isme jhalak hai 
pahla rang hai suno kaisa
samne aaye koi aisa 
dil kahe khawabo me isko hi to dekha tha
dil kahe khawabo me isko hi to dekha tha
dusra rang pyar ka pahle se gehra zara
badhti jitni kasish hai hoti utni khalish hain
kuch din rahta hai ye hi silsila
aage armano ka rang hai tisra
aage armano ka rang hai tisra
chutha rang ikarar ka
panchva intjar ka
aur wo rang jo chhatha hai
sapno ki wo ghata hai
har pal rahta hai dil khoya hua
satva rang kar deta hai 
diwana diwana
satva rang kar deta hai 
diwana 
ho ye pyar kya hai 
ye ek dhanak hai 
saato rango ki isme jhalak hai

Song details

lyricist: Javed Akhtar, Willard Carroll