Roman script

nadiya ye nadiya ye nadiya bahati hai 
sadiyo se bahati hai 
chalna hi jivan hai shayad ye kahani hai 
pashu pakheru ki ye nis din pyas bujhati hai 
isi liye ye nadiya sadiyo se bahti hai 
aankho mein mausam ki muskan samaai hai 
aanchal mein lahro ki pahchan samai hai 
pavan chale purwai lahrati chalti hai 
uljhi lat na sulajhe ye gati chalti hai 
are nahi nahi thake kisano ko 
ye mithi nind sulati hai 
isi liye haa isi liye ye purwai 
ye gaati chalti hai 
gale lagaye panchhi rangin fijo ko 
bhar lu in baho mein main preet ghatao ko 
in sawan mein rimjhim achcha batao to 
are in sawan mein rimjhim 
ye ghata barsati hai jal barsa kar 
shayad khud pyasi rahti hai 
kheto ko pani deti hai fasal ugati hai 
isi liye haa isi liye 
sawan mein ye ghata barsati hai 
ye nadiya bahati hai sadiyo se bahati hai 
chalna hi jivan hai shayad ye kahati hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Asha Bhosle, Bhupinder Singh