Roman script

jhula jhulaaye yeh panghat

nadiya kinaare yeh aangan

nindiya too aana hawa ke sang

mujhko bhi tu dikhaana apane rang

suno mere diljaani yeh kahaani maani

ek din mere sang yeh jaha tha

mera kuchh aur tera hi armaan

jaane dil mein kya kuchh yeh basa tha

yeh meri hai kahaani ye meri kahaani

jhula jhulaaye yeh panghat

nadiya kinaare yeh aangan

nindiya tu aana hawa ke sang

mujhko bhi tu dikhana apane rang

tera mera galiyo main yu phirna

phirte phirte rat ko yu thakna

thak ke naani ki godi mein sona

pariyo ke desh jake nahaana

yeh meri hai kahaani ye meri kahaani

koyi phikar thi na koyi bahaana

muththi mein tha jaise jamaana

kachchi jubaan mein wo geet gaana

naye khilaune sabko dikhaana

maang liya jindagi se jyada

chhin gaya woh jisne kiya waada

kaun laaye woh pal jo suhaane

bite the jo woh gujre jamaane

ye meri hai kahaani ye meri hai kahaani

Explore this song