Roman script

ye ladka brahman kuldeepak 

achha kamaata khaata hai 

londan ke ek hotel me 

waiter ka kaam karta hai 

kahta hai, koi gori gori 

nili aankho waali ladki chalegi 

humm, mujhe nahi lagta yaha daal galegi 

ye party bahut paise waali aur jaani maani hai 

jagah jagah unke mandir 

unke daan dharam ki nishaani hai 

ye ladaka kuch karta dharta nahi 

magar ise koi farak padta nahi 

lekin meri ek mushkil hai 

pooja paath se mera door ka bhi naata nahi 

upvaas karke bhukhe marna mujhe suhaata nahi 

aur fir meri to janampatri bhi nahi 

isliye aap bhi kuch kar sakti nahi 

nahi mai iske laayak nahi 

ye aise kaise ladki meri baat ko taal deti hai 

rishte jitne laai hu mai sabko na na kahti hai 

ek bade pariwaar ko chaahiye bahu 

jo mehnati ho aur ho gharelu 

rasoi safaai to mere baaye haath ka kaam hai 

lekin meri jubaan ko kaun dega lagaam 

nahi mai iske laayak nahi 

ye ladka paan waala hai 

magar t v serial banata hai 

are ek episode me pora ek laakh kamaata hai 

ohh par meri uski kya jod hogi 

unke saath jindagi ek boring episode hogi 

nahi mai iske laayak nahi 

ek ladke ke hai paanch paanch kaarkhaane 

iski maa ko chaahiye pacchaas tole gahne 

pachaas kyu, ladka kamaau hai 

kamaau, u hu bikaau hai 

nahi mai iske laayak nahi

Explore this song