Roman script

ye kya jageh hai dosto 

ye kya jageh hai dosto, ye kaun sa dayar hai 

ye kaun sa dayar hai 

had-e-nigah tak jaha 

had-e-nigah tak jaha gubar hi gubar hai 

gubar hi gubar hai 

ye kya jageh hai dosto 

ye kis makaam par hayaat 

ye kis makaam par hayaat, mujhko leke aa gai

mujhko leke aa gai 

na bas khushi pe hai jaha 

na bas khushi pe hai jaha, na gam pe ikhtiyar hai

na gam pe ikhtiyar hai 

ye kya jageh hai dosto 

ye kya jageh hai dosto, ye kaun sa dayar hai 

ye kaun sa dayar hai 

tamam umr ka hisab

tamam umr ka hisab, mangti hai zindagi 

magati hai zindagi 

ye mera dil kahe to kya 

ye mera dil kahe to kya, ke khud se sharmsar hai 

ke khud se sharmsar hai 

ye kya jagah hai dosto, ye kaun sa dayar hai 

ye kaun sa dayar hai

bula raha hai kaun

bula raha hai kaun, mujhko chilmano ke us taraf 

mere liye bhi kya koi

mere liye bhi kya koi, udaas beqarar hai 

udaas beqarar hai 

ye kya jagah hai dosto, ye kaun sa dayar hai 

ye kaun sa dayar hai

had-e-nigah tak jaha gubar hi gubar hai 

gubar hi gubar hai 

ye kya jagah hai dosto

Explore this song