Roman script

ye kiski sada hai, ye kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

waadi ki sima pe, pahad ke paar se

dard aaj gehra hai

ye kiski sada hai, kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

kaano me gunjti hai, jaane kaun hai

ghere andhere me koi bhi nahi

aankhon se sunta hun, dekhta bhi hun

shayad andhera hai, gunj raha hun

kiski sada hai, kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

naani ki kahaani me, roti maharaani

birahaa ki maari, koi roti bichaari

bhukha hai koi, pyasa hai shayad

jaana sa fasana hai, gunj raha hai

kiski sada hai, kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

naani maharaani, aur birhaa ki bahen

saare ke saare, khamosh ho gaye

dard ko maut ki, nind aa gayi

maut ka sannata hai, gunj raha hai

kiski sada hai, kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

dhuaan dhuaan kohre waali, chaadar jalake

parbto ke suraj, pe khema lagaya

waadiyon me roshni ka lawa bahake

andhere ki nind se, logo ko jagaya

aate etihaash ki jaap suni hai

aate etihaash ki jaap suni hai

bhor ka hain shor ye, gunj raha hai

kiski sada hai, kiski sada hai

waadi ki sima pe, pahad ke paar se

dard aaj gehra hai

ye kiski sada hai, kiski sada hai

gunj rahi hai

kiski sada hai, kiski sada hai

Explore this song