Roman script

ye kaisi raat hai jo chhupchap hai
kaisi ye hai jo gumnaam hai 
man mein chhupaye kayi aadse
thahri si raat hai jo badnam hai 
gamgast waqt bhi sahma sa hai 
sannate dastak dete sareaam hai 
baadlo ki chadar lipete dara chand hai 
khauf ki ye raat hai jo badanam hai 
sawere ko jakde huye 
andhere se bare ye nishachar
dahshat ki nayi kahani hai 
laal surkh aankho se 
jindgi ko takti hai 
kaali kaali raat fir se aayi hai 
aawaj karte ye darwaje 
kahi sukhe ped hai darte 
jaise hi sham dhalti hai 
sannate satane aa jate hai 
is raat ka jo khuni anjaam hai 
ye kaisi raat hai jo chhupchap hai
kaisi ye hai jo gumnaam hai 
man mein chhupaye kayi aadse
thahri si raat hai jo badnam hai

Song details

Song video

Watch on YouTube