Roman script

ye kaali kaali ratiyaan vahamo se lambi 

gunaaho se kaali 

na sote kate na rote kate hai 

ye kaali kaali ratiyaan

diya rang phulo ko kaliyo ko hansna 

aur in dono aankho ko nit ka barsana

diya rang phulo ko kaliyo ko hansna 

aur in dono aankho ko nit ka barsana

bhawaron ko ghate hume gam ki raate 

naseebe jaha me kuch aise bate hai 

na sote kate na rote kate hai 

ye kaali kaali ratiyaan

gaye ho khyalo se jaago to jaanu 

dua ban ke lab pe na aao to jaanu 

gaye ho khyalo se jaago to jaanu 

dua ban ke lab pe na aao to jaanu 

arey bewafa puche in aansuo se 

abhi yaad karke tumhe hum hate hai 

na sote kate na rote kate hai 

ye kaali kaali ratiyaan

ye kaali kaali ratiyaan rahamo se lambi 

gunaaho se kaali 

na sote kate na rote kate hai 

ye kaali kaali ratiyaan

Explore this song