Roman script

ye jivan hai is jivan ka
yahi hai, yahi hai, yahi hai rang rup
ye jivan hai is jivan ka
yahi hai, yahi hai, yahi hai rang rup
thode gam hai, thodi khushiya
thode gam hai, thodi khushiya
yahi hai, yahi hai, yahi hai chhaanv dhup
ye jivan hai 
ye na socho isme apni haar hai ki jit hai  
ye na socho isme apni haar hai ki jit hai  
use apna lo jo bhi jivan ki rit hai
ye zid chhod o, yu na todo, har pal ek darpan hai
ye jivan hai is jivan ka
yahi hai, yahi hai, yahi hai rang rup
ye jivan hai 
dhan se na duniya se, ghar se na dvaar se
dhan se na duniya se, ghar se na dvaar se
saanso ki dor bandhi hai pritam ke pyaar se
duniya chhute, par na tute ye kaisa bandhan hai
ye jivan hai is jivan ka
yahi hai, yahi hai, yahi hai rang rup
thode gam hai, thodi khushiya
yahi hai, yahi hai, yahi hai chhaanv dhup
ye jivan hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Jaya Bhaduri, Anil Dhawan