Roman script

ye sarsaraati hawa jaaye chaaro disha

aise hi mukt mann mera bhi ho gaya

ye hawa sar sarsariya, sar sarsariya

kyu na lehrake mai bhi disha disha nagar nagar jaau

khila khila sa jo mera ye mann hai

khila khila sa jo mera ye tann hai

jo rang rang hai mere sapne

to sab rang hi lage apne

jo rut koi chhayi to chha jaane de

jo aayi angdaai to aa jaane de

hawaaye jo bataaye wohi maan le

tu mann ki satrangi hai ye jaan le

ye sarsaraati hawa jaaye chaaro disha

aise hi mukt mann mera bhi ho gaya

ye hawa sar sarsariya, sar sarsariya

kyu na lehrake mai bhi disha disha nagar nagar jaau

lage ki abhi tu hai anjaani

jagat me jitna bhi hai paani

hai prem utna mere mann me

tu hi to basi hai mere jeevan me

teri baani mere mann me samaati to hai

teri baat mujhe sapne dikhati to hai

tujhe jo dekhu badhti ye dhadkan to hai

huyi mithi mithi si mann me uljhan to hai

ye sarsraati hawa jaaye chaaro disha

aise hi mukt mann mera bhi ho gaya

ye hawa sar sarsariya, sar sarsariya

kyu na lehrake mai bhi disha disha nagar nagar jaau

sar sarsariya

Explore this song