Roman script

ye hai reshami, zulfo ka andhera na ghabraiye 

jaha tak mahak hai mere gesuo ki, chale aaiye

suniye to zara, jo haqikat hai kahte hai ham 
khulte rukte, in rangi labo ki qasam 
jal uthenge diye juganuo ki tarah
jal uthenge diye juganuo ki tarah
ye tabassum to faramaaiye 
ye hai reshami, zulfo ka andhera na ghabraiye  
jaha tak mahak hai mere gesuo ki, chale aaiye
pyaasi hai nazar ha, ye bhi kahne ki hai baat kya 
tum ho mehmaan, to na thaharegi ye raat kya 
raat jaaye rahe, aap dil me mere
raat jaaye rahe, aap dil me mere
aramaan ban ke rah jaaiye
ye hai reshami, zulfo ka andhera na ghabraiye  
jaha tak mahak hai mere gesuo ki, chale aaiye

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Mumtaz, Biswajeet