Roman script

ye hain mere piya ki nishani 
meri chudi na todo 
ye hain mere piya ki nishani 
meri chudi na todo 
unko lagti thi kitani suhaani 
meri chudi na todo 
kisne kaha ab nahi aayenge wo 
duniya kahe kahne do 
aayenge wo aayegen, abhi meri bindiya 
na mitaao re rahne do 
mat sunaao ye jhuthi kahani re 
mat sunaao ye jhuthi kahani 
meri chudi na todo 
ye hain mere piya ki nishani 
meri chudi na todo 
deri hui usko laao re kahi se 
shaam hone aai din gaya 
apna to jine ka yahi tha sahara 
ye bhi sahara chhin gaya 
kabse ro ro pukare divaani re 
kabse ro ro pukare divaani 
meri chudi na todo 
ye hain mere piya ki nishani 
meri chudi na todo 
ye hain mere piya ki nishani 
meri chudi na todo

Song details

Song video

Watch on YouTube