Roman script

ye chaand-sitaare kyaa jaane

is dil ke sahaare toot gaye

aankhon se kisi badkismat ki

kitne hi sitaare toot gaye

ye chaand-sitaare kyaa jaane

takdeer ki zaalim maujon ne

afsos duboya laa ke kahaan

takdeer ki zaalim maujon ne

afsos duboya laa ke kahaan

saahil se lagi jyunhi kashti

maujon se kinaare chhut gaye

aankhon se kisi badkismat ki

kitne hi sitaare toot gaye

ye chaand-sitaare kyaa jaane

ulfat ka chaman sunsaan huaa

ulfat ka chaman sunsaan huaa

veeraan mera armaan huaa

barbaad huyi dil ki duniyaa

sab khwaab hamaare toot gaye

aankhon se kisi badkismat ki

kitne hi sitaare toot gaye

ye chaand-sitaare kyaa jaane

is dil ke sahaare toot gaye

aankhon se kisi badkismat ki

kitne hi sitaare toot gaye

ye chaand-sitaare kyaa jaane

Explore this song