Roman script

ye chaar din bahaar ke

hansi-khushi guzaar ke

bhula do zindagi ke gham

bhula do zindagi ke gham

bhula do zindagi ke gham

nisar tum pe dil mera

kategi zindagi sada

tumhare pyaar me sanam

bhula do zindagi ke gham

bhula do zindagi ke gham

khilli hui hai chandani

chhidi hui hai ragini

nazar-nazar me mastiyan

ada-ada me shokhiyan

hame tumhari justaju

tumhe hamari aarzu

badhe ye pyaar dum-ba-dum

bhula do zindagi ke gham

bhula do zindagi ke gham

tumhaare dil me ham rahe

hamaare dil me tum raho

kisi se apni dastaan

na ham kahe na tum kaho

zamana chahe kuchh kahe

zafa kare sitam kare

juda na hoge tum se ham

bhula do zindagi ke gham

bhula do zindagi ke gham

Explore this song