Roman script

hey ye bombay sheher haadaso ka sheher hai

ye bombay sheher haadaso ka sheher hai

yaha jindagi haadaso ka safar hai

yaha roj roj har mod mod par hota hai koyi na koyi

haadasa, haadasa, haadasa, haadasa

yaha ki khushi aur ghum hai anokhe

bade khubsurat se hote hai dhokhe

bahut tej raftaar hai jindagi ki

hai fursat kise koi kitana bhi soche

khushi haadasaa hai ghum haadasa hai

haqiqat bhulaakar har ek bhaagata hai

yaha roj roj ki bhaag daud mein hota hai koyi na koyi

haadasa, haadasa, haadasa, haadasa

yaha aadami aasmaan chumate hai

nashe mein tarakki ke sab jhumate hai

hari roshani dekh bhaagi wo kaare

achaanak ruki phir se banke kataari

yaha ke parindo ki parwaaj dekho

hasino ke chalane ka andaaj dekho

yaha husn ishq ki aabo hawa me hota hai koyi na koyi

haadasa, haadasa, pyaar ka haadsa

yeh bombay sheher haadaso ka sheher hai

yahaan jindagi haadaso ka safar hai

yahaan roj roj har mod mod par hota hai koyi na koyi

haadasa, haadasa, haadasa, haadasa

Explore this song