Roman script

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara 

itne bade jaha me ye ek besahara 

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara 

itne bade jaha me ye ek besahara

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara 

bachpan se iske sar pe naa baap ka hai saaya

naa maa ne loriya sunaai naa doodh hi peelaya 

pee pee ke aapne aasu karta hai ye guzara

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara 

mujhko janam diya kyu berahm zindagi ne 

kude ke dher me kyu feka muhe kisi ne 

daaman pakad ke ek din puchega ye humara 

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara 

kuch der ho naa jaye andher ho naa jaye 

ungli pakadle koi kiski ye kho naa jaye 

ye bhul hai kisi ki ye pusp hai humara 

ye badnaseeb bachha taqdeer ka hai mara

Explore this song