Roman script

yariyaan yariyaan jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe nind kaise aati hogi kya pata kya pata

yariyaan yariyaan jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe nind kaise aati hogi kya pata kya pata

yaar ko jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe jindagi rulaati hogi kya pata kya pata

faaslein jism to dur le jaate hain

par dilon ke shehar to ujadte nahi

aankhon se aankhon ka rishta tute to kya

saath dekhe huye khwaab marte nahi

apna mehbub bas hamse ruthe nahi

chaand taare falak ruth jaaye to kya

hai mohabbat wo kangan jo tute nahi

kaanch ki chudiya tut jaaye to kya

geet jo saath milke kabhi gaaya tha

ab bhi wo gungunaati hogi kya pata kya pata

yariyaan yaar ko jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe nind kaise aati hogi kya pata kya pata

koi mehbub kyun bewafa ho gaya

bewfaayi pe uske na aaye yakin

hamne to yeh suna tha mohabbat me

pyaar pehla koi bhul sakta nahi

ret ke ghar banaane se kya faayda

ek leher aayegi aur beh jaayenge

laakh jakhmon ko sine ki koshish karo

jakhm bhar jaayenge daag reh jaayenge

yariyaan jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe nind kaise aati hogi kya pata kya pata

yaar ko jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe jindagi rulaati hogi kya pata kya pata

yariyaan yaar ko jo bhi chhod ke chale jaate hain

unhe nind kaise aati hogi kya pata kya pata

Explore this song