Roman script

yaaron ka pyaar liye nakhre hazaar liye

jaati hai gori bulaao re koi 

yaaron ka pyaar liye nakhre hazaar liye

jaati hai gori bulaao re koi

ulajhe se baal waala laal laal rumaal waala

chhede hai mohe bachaao re koyi

ulajhe se baal vaala laal laal rumaal vaala

chhede hai mohe bachaao re koyi

de dunga jaan mai to aaj teri chaah mein

dekho mai let gaya let gaya raah mein

de dunga jaan mai to aaj teri chaah mein

dekho mai let gaya let gaya raah mein

haay na koyi laaj na sharm hai nigaah mein

haay na koyi laaj na sharm hai nigaah mein

raste ka patthar hataao re koi

yaaro ka pyaar liye nakhre hazaar liye

jaati hai gori bulaao re koi 

bich baazaar mere gale pad jaaye hai

chhora bekaar me divaana bana jaaye hai

bich baazaar mere gale pad jaaye hai

chhora bekaar me diwana bana jaaye hai

majnu ka pyaar dekho laila thukaraye hai

majnu ka pyaar dekho laila thukaraye hai

laila ko majnu banaao re koyi

ulajhe se baal vaala laal laal rumaal waala

chhede hai mohe bachaao re koi

phir ek baar gori dekh zara phir ke

nakharo ki bhid me mai rah gaya ghir ke

phir ek baar gori dekh zara phir ke

nakharo ki bhid me mai rah gaya ghir ke

oy thodi si dur chala ruk gaya phir se

oy thodi si dur chala ruk gaya phir se

chhakade ko motar banaao re koi

yaaron ka pyaar liye nakhre hazaar liye

jaati hai gori bulaao re koi

ulajhe se baal vaala laal laal rumaal waala

chhede hai mohe bachaao re koi

Explore this song