Roman script

yaara maula

ha hayaaton mein hai abb bhi kya surila woh jahaan tha

hamaare haathon mein rangin gubbaare the

aur dil mein mehakta sama tha

yaara maula

woh toh khaabin ki thi duniya woh kitaabon ki thi duniya

saans lete machalate huye jaljale 

aankh mein woh suhaana nasha tha

yaara maula

woh jameen thi aasmaan tha hamko lekin kya pata tha

hum khade the jahapar usike kinaare pe gehra sa andha kuaa tha

phir woh aaye bheed bankar haath mein the unake khanjar

kholo phenko yeh kitaabein aur sambhaalo yeh saraahe

jo gehra sa kunva hai ha ha angaar woh nahi hai

iss kuye mein hai khajaana kal ki duniya to yahi hai

kud jaao leke khanjar kaant daalo jo ho andar

tum hi kal ke ho shivaaji tum hi kal ke ho sikandar

hamne woh hi kiya jo unhone kahaan

kyun ki unki toh khwahish yahi thi

hum nahi jaante yeh bhi kyun yeh kiya

kyun ki unki farmaaish yahi thi

abb hamaare lagaajaaye ka khun ka 

abb bataao kare toh kare kya

nahi hai koyi jo hamein kuch 

bataaye bataao kare toh kare kya

Explore this song