Roman script

yar chulbula hai hasi dilruba hai

jhuth bolta hai magar zara zara

to bolo ji, phir kya kare divaana

to bolo ji, phir kya kare divaana

ye kise pata hai ye husn ki ada hai

tumko dil diya hai magar zara zara

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

yar chulbula hai

chhodo sharaarat shabaab ke hai din

bachpan ke shaayad janab ke hai din

chhodo sharaarat shabaab ke hai din

bachpan ke shaayad janab ke hai din

bas isi ada pe ham sanam tumhare ho liye

kis tarah yaqi hamko ayae ye to boliye

to suna lo to suna lo to sun-sun-sun-sun-sun

to suna lo ji, kehta kya zamaana

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

yar chulbula hai

ulajhe se baalo ka hai ye haal kya

tumne jo dekha to aa gaya nasha

ulajhe se baalo ka hai ye haal kya

tumne jo dekha to aa gaya nasha

chal raha hai tir, dil bachaaiye bachaaiye

pahale naino ki jhuki kamaan to uthaaiye

to dekho to dekho to de-de-de-de-de

to dekho ji, dil ho gaya nishaana

to bolo ji, phir kya kare divaana

yar chulbula hai

aise hasino ka aitbaar kya

achchha to takte ho baar baar kya

aise hasino ka aitbaar kya

achchha to takte ho baar baar kya

dekhta hu kisne ye hasi shakal banayi hai

aisa lag raha hai tumne gehri chot khayi hai

to dekho to dekho to de-de-de-de-de

to dekho ji, is dil ka talmalana

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

yar chulbula hai hasi dilruba hai

jhuth bolta hai magar zara zara

to bolo ji, phir kya kare divaana

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

to bolo ji, phir kya kare divaana

to dekho ji, dhokhe me aa na jaana

Explore this song