Roman script

ya rab hamaari aah mein

itna asar nahin

ham unke ho gaye hain

ye unko khabar nahin

milti hain unse roz

hamaari nazar to kya

milti hain unse roz

hamaari nazar to kya

ab jaa ke unke dil mein jhaank

aisi nazar nahin

ya rab hamaari aah mein

itna asar nahin

kuchh bhi hai mukhtasar sa

hotaa hai baar baar

kuchh dil mein un ki yaad hai

dard-e-jigar nahin

ya rab hamaari aah mein

itna asar nahin

hamko gila hai

rasme mohabbat se har ghadi

hamko gila hai

rasme mohabbat se har ghadi

koyi garaz nahin hai ke

dil aur jigar nahin

ya rab hamaari aah mein

itna asar nahin

Explore this song