Roman script

wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi

in kaali sadiyo ke sar se, jab raat ka anchal dhalkega

jab dukh ke badal pighlenge, jab sukh ka sagar chhalkega

jab ambar jhum ke nachega, jab dharti nagme gaayegi

wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi

jis subh ki khatir yug yug se

hum sab mar mar kar jeete hai

jis subh ki amrit ki dhun mai

hum zaher ke pyale peete hai

bhukhi payasi ruho par ek din to karam farmayegi

wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi

tere mere armano ki kimat kuch bhi nahi

mitti ka bhi hai kuch mol magar

insano ki kimat kuch bhi nahi

insano ki izzat jab juthe sikko mai na toli jayegi

wo subh kabhi to ayegi, wo subh kabhi to ayegi

Explore this song