Roman script

pyar me bheege jo khat the

hum wo saare jala aaye

chhup ke mile the tumse jahan

raah wo saari bhula aaye

jo tha likha wo hoga nahi

wo kahani phir kabhi

ab hum milenge na kahin

wo kahani phir kabhi

is pyar se tu mujhko riha kar

rasme judayi ki hans ke ada kar

paas na mere gham ke siwa kuchh

ye zindagi na mujhpe fanaa kar

seene me mere dil hi nahi

wo kahani phir kabhi

ab hum milenge na kahin

wo kahani phir kabhi

kaisi kali raat thi jisne

sab kuchh mera chheen liya hai

jisko buna tha haathon se apne

rishta wo pal me toot gaya hai

hoga savera phir se nahi

wo kahani phir kabhi

ab hum milenge na kahin

wo kahani phir kabhi

Explore this song