Roman script

wo bhuli daasta 

lo phir yaad aa gayi

nazar ke samne

ghata si chha gayi

nazar ke samne

ghata si chha gayi

wo bhuli daasta 

lo phir yaad aa gayi

kaha se phir chale aaye

ye kuch bhatke hue saaye

ye kuch bhule nagme

jo mera pyar ne gaaye

ye kuch bichhdi hui yaade

ye kuch tute hue sapne

paraye ho gaye to kya

kabhi ye bhi to the apne

na jane inse kyu milkar

nazar sharma gayi

wo bhuli daasta 

lo phir yaad aa gayi

bade rangin zamane the

tarane hi tarane the

magar ab puchhta hai dil

wo din tha ya fasane the

fakat ek yad hai baki

bas ek fariyad hai baki

wo khushiya lut gayi lekin

dile barbad hai baki

kaha thi zindagi meri

kaha par aa gayi

wo bhuli daasta 

lo phir yaad aa gayi

Explore this song