Roman script

wo ruth gaye dil tut gayaa 

duniyaa me hamaaraa koi nahi

ai duniyaa waalo ham jaisaa 

taqadir kaa maaraa koi nahi

ab dukh kaa bhanwar hai aur dil hai 

kashti ko bachana mushkil hai

ab dukh kaa bhanwar hai aur dil hai 

kashti ko bachaanaa mushkil hai

majadhaar me maajhi chhod  gayaa 

tufaan hai kinaaraa koi nahi

ai duniyaawaalo ham jaisaa 

taqadir kaa maaraa koi nahi

khushiyo kaa zamaanaa bit gaya o 

ulfat kaa fasaanaa khatm huaa 

khushiyo kaa zamaanaa bit gaya o 

ulfat kaa fasaanaa khatm huaa

jine ki tamannaa kyaa hogi jine kaa sahaaraa koi nahi

wo ruth gaye dil tut gayaa duniyaa me hamaaraa koi nahi

ai duniyaawaalo ham jaisaa taqadir kaa maaraa koi nahi

Explore this song