Roman script

ek khushboo mujhko aayi hai

kya rab ne di ye duhayi hai

tu yaar mera dildar mera

ab tujhse hi meri khudayi hai

sab chhod gaya, dil tod gaya

ab khud se hi meri ladaai hai

ye rab ki razaa jo de tu saza

ab kaali ghata hi chhaayi hai

kya hai wo pal, maange jo har pal

khud se bhi jyada koi

nazaro se ja kar, dil me sama kar

tujhko chura lu kabhi

tu mahobbat, tu aashiqui

tujhpe hi chahat, deewangi

na rasta, na rahi, na koi sawari

hai kaisi ye chahat, hai kaisi ye yaari

kuch na kahu, chup hi rahu

tanhaaiyo se kehta rahu

tu mahobbat, tu aashiqui

tujhpe chahat, deewangi

kaahe tu aaye na, jo aa jaaye to jaaye na

kaahe tu aaye na, jo aa jaaye to jaaye na

bheegi si palko pe aansu bhi samaaye na

Explore this song