Roman script

wo meri jasoda maiya uska mai govinda

wo meri jasoda maiya uska mai govinda

ma hai jab tak jag me tab tak ma hai jab tak jag me tab tak

mamta ki misal hai zinda wo meri jasoda maiya uska mai govinda

ek mehbuba ne dilbar se uski ma ka dil mangvaya

wo ishq me andha doda doda apni ma ke pas aaya

vahshi ne ma par war kiya khanjar sine ke par kiya

zakhmi dil lekar bhag chala thokar khayi dharti pe gira

tab ma ke dil se aayi sada tujhe chot kahi aayi to nahi

tujhe chot kahi aayi to nahi dhire chalna aainda

wo meri jasoda maiya uska mai govinda

ek sachi ma ek jhuti ma ek bache ka jhagda lekar

insaf mangne ki khatir ja pahunchi hakim ke dar par

ek boli mera bacha hai ek boli mera bacha hai

hakim sunkar hairan hua aakhir ye kiska bacha hai

hakim ne bat pe gor kiya aur jalado ko hukam diya

sar ko tan se nayara kar do bache ka bantwara kar do

tab sachi ma boli thaharo aisa na karo aisa na karo

maine apna hak chhod  diya maine apna hak chhod  diya

par lal rahe mera zinda wo meri jasoda maiya uska mai govinda

wo meri jasoda maiya uska mai govinda

ma hai jab tak jag me tab tak ma hai jab tak jag me tab tak

mamta ki misal hai zinda wo meri jasoda maiya uska mai govinda

Explore this song