Roman script

wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye 

wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye 

ankho ne jab sunai thi ulfat ki dastan

duniya meri jawan thi aabad tha jahan

ab kyun jala ke chhod diya mera ashiyan

kyun zindagi ko lut ke barbad kar gaye

wo din kidhar gaye

wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye

aaya meri wafa ka na tumko khayal kyun

tumse chupa hua hai mere dil ka hal kyun

pucho na mujhse hay ke dil hai nidhal kyun

kaise zamane aaye aur aa kar guzar gaye

wo din kidhar gaye

wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye

kyun pyar karke bhul gaye pyar ka chlan

kya ho gai wo shama se parwane ki lagan

ab mai hi aur mera ujdta hua chaman

arman dil ke dil hi me sab ghut ke mar gaye

wo din kidhar gaye

wo din kidhar gaye kaho wo din kidhar gaye

Explore this song