Roman script

sakt raahon me bhi aasaan safar lagta hai 

ye meri maa ki duaao ka asar lagta hain 

sakt raahon me bhi aasaan safar lagta hai 

ye meri maa ki duaao ka asr lagta hain

gher lene ko mujhe jab bhi balaaye aa gayi 

dhaal bankar saamne, maa ki duaaye aa gayi 

bujrgu ki jaha par log ijjat chhod dete hain 

bujrgu ki jaha par log ijjat chhod dete hain 

farishton un gharo ki, fir hifajat chhod dete hain 

waqt ka ye parinda ruka hain kahan

main tha pagal jo usko bulata raha

chaar paise kamane main aaya sheher

gaaon mera mujhe yaad aata raha

gaaon mera mujhe yaad aata raha

waqt ka ye parinda ruka hain kahan

lauta tha main jab pathshal sa ghar

apne hatho se khana khilati thi maa

lauta tha main jab pathshal sa ghar

apne hatho se khana khilati thi maa

raat me apni mamta ke aanchal tale

thapkiyaa deke mujhko sulati maa

soch ke dil me ek teesh uthati rahi

raat bhar dard mujhko jagata raha

chaar paise kamane main aaya sheher

gaaon mera mujhe yaad aata raha

gaaon mera mujhe yaad aata raha

waqt ka ye parinda ruka hain kahan

sabki aankhon me aansu chhalk aaye the

jab ravana hua tha sheher ke liye

sabki aankhon me aansu chhalk aaye the

jab ravana hua tha sheher ke liye

kuch ne maangi duaaye 

ke main khush rahun

kuch ne mandir me jaikar jalaye diye

ek main banuga bada aadmi

ye tashvoor unhe gud gudata raha

chaar paise kamane main aaya seher

gaaon mera mujhe yaad aata raha

gaaon mera mujhe yaad aata raha

waqt ka ye parinda ruka hain kahan

maa ye likhati hain harbaar khat me mujhe

maa ye likhati hain harbaar khat me mujhe

laut aao mere bete tujhe hain kasam

tu gaya jabse pardesh bechain hun

nind aati nahi bhukh lagti hain kam

kitana chaha na rou magar kyaa karun

khat meri maa ka mujhko rulata raha

chaar paise kamane main aaya seher

gaaon mera mujhe yaad aata raha

gaaon mera mujhe yaad aata raha

gaaon mera mujhe yaad aata raha

Explore this song