Roman script

un dino jab ke tum the yahaan

zindagi jaagi jaagi si thi

saare mausam bade mehraba dost the

raaste dawatname the jo manjilo ne likhe the jamin par hamaare liye ped baahein pasaarein khade the

hame chanv ki swal pehnane ke waste

sham ko sab sitare bahot muskurate the jab dekhate the hame 

aati jaati hawaye koi geet khushboo ka gati huyi 

chhedati thi guzar jaati thi

aasama pigle neelam ka ek gehra taalab tha

jisme har raat ek chand ka phool khilta tha

aur pigle neelam ki leharo mein behta hua

wo hamare dilo ke kinaaro ko chhu leta tha

un dino jab ke tum the yaha

mohabat meri jo pyasi hui to gehri meri udasoi hui

zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniyaa

yah viraniya yah viraniya zindagi zindagi mein hai tum bin

yah viraniya yah viraniya yah viraniya

ashko mein jaise dhul gaye sab muskuraate rang

raste mein thak ke so gayi maasum si umang

dil hai ki phir bhi khwaab sajaane ka shauk hai

paththar pe bhi gulaab ugaane ka shauk hai

barso se yun to ek amawas ki raat hai

ab isako hausala kahoon ki jidd ki baat hain

dil kehta hai andhere mein bhi roshani to hai

maana ke raakh ho gaye ummid ke lau

is raakh mein bhi aag kahi par dabi to hai

sune sune sare raste hai suni manzil hai jana

suni suni si meri aankhe hai suna ye dil hai jana

jana jana jana jana jana jana jana jana jana

mujhe gehre hai sirf tanhaiya mere dil mein hai 

sirf khamoshiya zindagi zindagi mein hai tum bin

yah viraniya yah viraniya aapki yaad kaise aayegi

aap ye kyu samajh na paate hai yaad to sirf unki aati hai

hum kabhi jinko bhool jate hai saans jab lu to

sene mein jaise saans chubhti hai jana

dil ab tak ummed ki ek fans chubhti hai jana

jana jana jana jana jana jana jana jana 

jana jana jana jana khwab sare mere 

tutne hi ko hai tinke bhi haaath se chutne hi ko hai

zindagi zindagi mein hai tum bin yah viraniya yah 

viraniya yah viraniya yah viraniya yah viraniya

Explore this song