Roman script

aasaan nahi manjil, mushkil se gujarana hai

khataro se khelana hai, gir gir ke sambhalana hai

tu dar ke ruk na jaana, yeh tera imtihaan hai

tujhko milake rahegi victory, victory, victory

phir nayi ik subah, ik naya raasta

na mil saka to kya huwa, tu khud bana wo raasta

jispe chalake tujhe, teri manjil mile

aur phir tujhko mile victory, victory, victory

saanse ruke, tute badan, jajba na ruk paaye

tu sar utha kuchh iss tarah, ye duniya jhuk jaaye

saanse ruke, tute badan, jajba na ruk paaye

tu sar utha kuchh iss tarah, duniya jhuk jaaye

dil mein dabi chingaariyo ko, ek shola bana le

hai saamane manjil teri, uthkar gale laga le

aisa jaabaaz hai tu, aisi parwaas hai tu

phir kyun na tujhko mile victory, victory, victory

baha jo khun to, ye khun ruk bhi jaayega

magar ye lamha jo bita to phir na aayega

waqt ne aawaaz di hai, waqt ne phir pukaara

josh-o-junun ka aisa mauka phir na aaye dubaara

aag dil ki badha de, aisi aandhi chala de

saari duniya kahe victory, victory, victory

aasaan nahi manjil, mushkil se gujarana hai

khataro se khelana hai, gir girke sambhalana hai

tu dar ke ruk na jaana, ye tera imtihaan hai

tujhko milake rahegi victory, victory, victory

tu dar ke ruk na jaana, ye tera imtihaan hai

tujhko milake rahegi victory, victory, victory

Explore this song