Roman script

use hansna bhi hoga use rona bhi hoga

use hansna bhi hoga use rona bhi hoga

subah shaam tanhaai me aahe bharega

har dil jo pyaar karega..har dil jo pyaar karega

har dil jo pyaar karega

palko ke mahke ghar me sapna ban ke palta hai

iski pagal dhadkan pe jor koi kaha chalta hai

use jagna bhi hoga use sona bhi hoga

use jina bhi hoga zahar pina bhi hoga

kisi ke hasi chehare pe vo to marega

har dil jo pyaar karega..har dil jo pyaar karega

har dil jo pyaar karega

deke chain kisi ko bechaini kyu leta hai

ye aisa divana hai jo ishq me jaan bhi deta hai

use kahna bhi hoga chup rahna bhi hoga

use dard-e-judai yaha sahna bhi hoga

laakh jhukae koi vo na jhukega

har dil jo pyaar karega 

part 2:

use hansna bhi hoga use rona bhi hoga

use hansna bhi hoga use rona bhi hoga

subah shaam tanhaai me aahe bharega

har dil jo pyaar karega..har dil jo pyaar karega

har dil jo pyaar karega

leke hansi hotho pe ankho me bharke paani

sachi muhabbat vo hai jo hans ke de de qurbani

use rukna bhi hoga use chalna bhi hoga

use bujhna bhi hoga use jalna bhi hoga

pir paraai vo chhup ke sahega

har dil jo pyaar karega..har dil jo pyaar karega

har dil jo pyaar karega

pedo ki har daali pe phul kaha koi khilta hai

sabko yaha manachaha hay pyaar kahaa kab milata hai

tanhaai me hoga shahnai me hoga

kabhi apano me hogaa parachhai me hog

kaanto ki raaho pe bhi hans ke chaleg

har dil jo pyaar karega..har dil jo pyaar karega

har dil jo pyaar karega

Explore this song