Roman script

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

ye baat kaise gavara karega dil mera

tumhara zikr kisi aur ki zuban pe ho

tumhare husn ki tarif aaina bhi kare

to mai tumhari qasam hai ke tod dun usko

tumhare pyar tumhari adaa ka divana

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

vo din na aaye ke mujhse kabhi juda hokar

kisi ka pyar dobara kahi talash karo

jhuka ke sar ko kisi ajnabi ke shano par

tum apne gam ka sahara kahi talash karo

karib dil ke tumhare kisi bhi halat me

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

tumhare dil ko kahi mujhse kabhi thes lage

mujhe yakin hai aisa kabhi nahi hoga

mujhe vafao pe apni bada bharosa hai

tumhara pyar hi de jaye na kahi dhokha

dua ye hai ke tumhara khuda ki duniya me

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

tumhara chahane vala khuda ki duniyaa me

mere siva bhi koi aur ho khuda na kare

Explore this song