Roman script

tum toh darasal khwab ki baat ho

chalti mere khayalon mein tum sath sath ho

milti hai jo achanak wo saugat ho

tum toh darasal meethi si pyaas ho

lagta hai yeh hamesha ke tum aas paas ho

thehra hai jo labon pe woh ehsaas ho

teri ada ada pe marta

main wafa wafa si karta

kyun haddo se hi yun guzarta

main zara, zara, zara

tum toh darasal saanso ka saaz ho

dil mein mere chupa wohi raaz raaz ho

kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho

kal bhi mera tum hi ho mera aaj ho

baarish ka pani ho tum, kaagaz ki kashti hu main

tujh mein kahin main beh jaata hoon

ho, milne hu tumse aata, waapas nahi jaa pata

thoda wahin main reh jata hu

ho, tum to darasal ik naya noor ho 

mujhe me bhi ho jra si jra dur kyun ho

jaise bhi ho humesha hi manzoor ho 

jaise bhi ho humesha hi manzoor ho 

hota aisa aksar dil ye kisi ko de kar 

lagta hasi hai sara shehar 

ab dekh tera hokar, aisa asar hai mujh pe 

hasta rahu main aatho pehar 

oh, tum toh darasal ishq ho pyar ho

ab bhi mere fasano me tum baar baar ho

inkaar mein jo chupa hai woh ikraar ho

Explore this song