Roman script

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

aashiyan apna saja lun, ya ke barbaad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

tum khayalo me, baar baar chale aate ho

lamha lamha yun, pareshan bhi kar jaate ho

dur jaake bhi, bahot paas nazar aate ho

apni yaado se bhula du, ya tumhe yaad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

aashiyan apna saja lun, ya ke barbaad karun

tum agar mujhse ye keh do, ke tumhe pyar nahi

karna deedar nahi, mujhse sarokar nahi

na tadap dard tumhe, koi intazaar nahi

to kasam hain ke, na bhule se kabhi yaad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

aashiyan apna saja lun, ya ke barbaad karun

suni suni hui jaati hain, fizaaen saari

ke ab to haar gayi, rukh ki hawaen saari

hain tamanna-e adhuri, si adhuri saari

dafn kardun unhen, ya phir se fariyad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

aashiyan apna saja lun, ya ke barbaad karun

tumko bhulun ya, kaho yaad karun

Explore this song