Roman script

tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya

koi apni hi mitti tale, dab gaya

tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya

koi apni hi mitti tale, dab gaya

tum gaye sab gaya

koi aaya tha, kuch der pahle yaha

leke mitti se, lepa hua aasma

abr par dal kar wo gaya, kab gaya

tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya

hatho pairo me tanhaiya, chalti hai

meri aankho me parchhaiya, chalti hai

ek sailab tha, sara ghar bah gaya 

fir bhi jine ka, thoda sa dar rah gaya

jakhm jine ke kyu de gaya, jab gaya 

tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya

koi apni hi mitti tale, dab gaya

tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya

Explore this song