Roman script

tum darshan hum naina rama, tum darshan hum naina 

tum darshan hum naina rama, tum darshan hum naina

kaushalya ki kokh se tumne janam liya hai aise 

sukh samridhi ki ganga ko mukh se janme jaise 

ganga janme jaise 

sarju ke tat jhoom ke gaaye pal pal aaj badhayi 

jug jug ankhiya tarsi hai, tab ghadi yeh pawan aayi 

mil gaya mann ko chaina rama, tum darshan hum naina 

tum darshan hum naina rama, tum darshan hum naina

hum jeevan hain tum mukti, hum maruthal tum jal ki dhar 

hum swati ki boond hain rama, tum karuna ka sindhu apar 

tum karuna ka sindhu apar 

hum deepak tum jyoti, hum santan hai tum ho palanhar 

hum asha vishwas ho tum, hum jhanjhar hain tum jhunkar 

tum suraj hum raina rama, tum darshan hum naina 

tum darshan hum naina rama, tum darshan hum naina

Explore this song