Roman script

tum thi abhi, thi abhi, ab nahi 
tum pal me hi kho gayi ho kahi 
ab nahi aankho me, koi khwaab bhi 
ab nahi seene me jaise saaj bhi 
tum chal diye, tum chal diye 
tum chal diye 
yaado ki baarish me, bah gayi ho kaha
teri hi sajish se, bheega hu mai yaha 
ab nahi jine ki, koi pyaas bhi 
ab nahi milne ki jaise aas bhi 
tum chal diye, tum chal diye 
tum chal diye
tum thi abhi, thi abhi, ab nahi

Song details

lyricist: Abhishek Kumar, Shashank Kunwar