Roman script

tum bin kya hai jeena, kya hai jeena

tum bin kya hai jeena

tum bin jiya jaaye kaise

kaise jiya jaaye tum bin

sadiyon se lambi hain raate

sadiyon se lambe hue din

aa jaao lautkar tum, yeh dil keh raha hai

aa jaao lautkar tum, yeh dil keh raha hai

phir shaam-e-tanhaai jaagi

phir yaad tum aa rahe ho

phir jaan nikalne lagi hai

phir mujhko tadpa rahe ho

phir mujhko tadpa rahe ho

is dil mein yaadon ke mele hain

tum bin bahut hum akele hain

aa jaao lautkar tum, yeh dil keh raha hai

kya kya na socha tha maine

kya kya na sapne sajaaye

kya kya na chaaha tha dil ne

kya kya na armaan jagaye

kya kya na armaan jagaye

is dil se toofaan guzarte hai

tum bin to jeete na marte hai

aa jaao lautkar tum, yeh dil keh raha hai

tum bin jiya jaaye kaise

kaise jiya jaaye tum bin

sadiyon se lambi hain raate

sadiyon se lambe hue din

aa jaao lautkar tum, yeh dil keh raha hai

Explore this song