Roman script

tum apni saheli ko itna bata do

ki usse koi pyar karne laga hai

jo ab tak sada muskrata raha tha

har ek baat par aah bharane laga hai

ki usse koi pyar karne laga hai

tumhari saheli bala ki hansi hai

hame bhi khabar hai use bhi yaqin hai

tumhari saheli bala ki hansi hai

hame bhi khabar hai use bhi yaqin hai

kisi ki to banna hai aakir use bhi

bura kya hai agar koi marne laga hai

ki usse koi pyar karne laga hai

tum apni saheli se itna bata do

ki usse koi pyar karne laga hai

kisi aur ki baat mane na mane

magar tum kahogi to vo maan legi

kisi aur ki baat mane na mane

magar tum kahogi to vo maan legi

zara apne bimar ko kuch dava de

ki ab dard had se guzarne laga hai

ki usse koi pyar karne laga hai

tum apni saheli se itna bata do

ki usse koi pyar karne laga hai

bas ab naaz chhodo zaraa paas aao

bahut ho chukaa ab na isko satao

bas ab naaz chhodo zaraa paas aao

bahut ho chukaa ab na isko satao

main kaise na usaki sifaarish guzaaru

ki bechaara bemaut marane laga hai

ki usse koi pyar karne laga hai

Explore this song