Roman script

tum aankho se dur ho, huyi nind aankho se dur

mere saathi gam ki chot se hua dil ka shisha chur

saathiya, beliya, sajna ho o o 

mujhe shikwa hai takdir se, nahi tumse koi gila

haay nahi tumse koi gilaa

mujhe laakar yu pardes me mera sab kuchh chhin liya

haay mera sab kuchh chhin liya

saathiya, beliya, sajna ho o oy 

meri aankho me aansu aa base, hu rone par majbur

mere zakhm huye pardesiya, aa ris-ris ke naasur

saathiya, beliya, sajna ho o o 

mujhe rogi karke pyar ka, diya gam ka rog laga

haay diya gam ka rog laga

mere jalte hue charaag ko meri qismat gayi bujha

haay meri kismat gayi bujha

saathiya, beliya, sajna ho o oy 

mujhe dhoka diya nasib ne, nahi mera koi kusur

mujhe dhoka diya nasib ne, nahi mera koi kusur

saathiya, beliya, sajna ho o o

Explore this song