Roman script

char tinke jo chune the, badi muskil se kabhi

beraham waqt ne us par bhi, gira di bijali

puchhe to kaun puchhe, ye baat aasma se

ye kaisi dushmni hai, bijli ko aashiya se

kiske ghar ab teri aaho ka, dhua le jau

tujhko mai ae dil-e-barbad, kahan le jau

unka gham sath na chhodega, jaha le jau

tujhko mai ae dil-e-barbad 

gham ke tufan me, mujhse nahi thahra jata

gham ke tufan me, mujhse nahi thahra jata

ab jara raham o karam ki bhi najar ho data 

aisa dar aur kahan hai, ke waha le jau

tujhko mai ae dil-e-barbad, kahan le jau

unka gham sath na chhodega, jaha le jau

tujhko mai ae dil-e-barbad, kahan le jau

unka gham sath na chhodega, jaha le jau

tujhko mai ae dil-e-barbad

Explore this song