Roman script

main kabhi batlaata nahi

par andhere se darta hu main maa

yun to main dikhlaata nahi

teri parwaah karta hu main maa

tujhe sab hai pata, hai na maa

tujhe sab hai pata meri maa

bheed me yun na chhodo mujhe

ghar laut ke bhi aa na paau maa

bhej na itna door mujhko tu

yaad bhi tujhko aa na paau maa

kya itna bura hu main maa

kya itna bura meri maa

jab bhi kabhi papa mujhe

jor jor jhula jhulate hai maa

meri nazar dhudhe tujhe

sochu yahi tu aake thaamegi maa

unase main ye kehta nahi

par main seham jaata hu maa

chehre me aane deta nahi

dil hi dil me ghabraata hu main

tujhe sab hai pata hai na maa

tujhe sab hai pata meri maa

o main kabhi batlaata nahi

par andhere se darta hu main maa

yun to main dikhlaata nahi

teri parwaah karta hu main maa

tujhe sab hai pata, hai na maa

tujhe sab hai pata meri maa

Explore this song