Roman script

mai to bas patni hu unki tu sajan ka pyar hai

tu sajan ka pyar hai

jitna mera haq hai un par tera bhi adhikar hai

tu sajan ka pyar hai

na koi mera haq hai un par na koi adhikar hai

tu hi suhagan hai sajan ki tu hi unka pyar hai

tu hi unka pyar hai

is dahlij ko par na karna warna gajab ho jayega

is dahlij ko par na karna warna gajab ho jayega

hara bhara ye ghar bahna bin aag lage jal jayega

tu nahi tulsi is ghar ki tu to bahar hai

tu sajan ka pyar hai

pani par bhule se bani or mit gayi wo tasvir ho

pani par bhule se bani or mit gayi wo tasvir ho

malik bhi likh kar roya haye

mai aisi takdir hu

mai dali se tuti pati mera ghar na dwar hai

tuhi unka pyar hai

maf kar bhi beti ko tu maa se juda karti hai

maf kar bhi beti ko tu maa se juda karti hai

phul se bachpan ki aankho me kyu sawan bharti hai

ye pooja ka phul hai pagli pyar ka uphar hai

tu sajan ka pyar hai

laut jo apne ghar tu mujhe andhiyaro me kho jane de

laut jo apne ghar tu mujhe andhiyaro me kho jane de

mai raste ki dhul hu mujhko raste me rah jane de

kaato se khusbu ki chahat karna to bekar hai

tu hi unka pyar hai

ram ram kahna hai ab to

ram ram kahna hai ab to ant mila ye bahna

ram ram kahna hai ab to ant mila ye bahna

jis ghar ko mai chhod chali hu tujhe usi me rahna

hath chhod kar ye vinti hai mat kahna inkar hai

tu sajan ka pyar hai, tu sajan ka pyar hai

tu sajan ka pyar hai

Explore this song